Kya hum bhool gaye unhe, kya humne dafan kar diya unko- unke kurbaniyoo ke sang?
Desh ko banane wale un kaargaar kisanoo aur majduroo ko, marne diya humne unko raste pe, chor diya unko unke badkismatee pe.
Kya thi galti unke? Paida hue the wo garib, adham ya jaati dand bhog rahe the samaaj ka?
Desh ke siyassatdaro ne to kabka mooh mod liya tha unse, iss baar bhagwaan bhi asra de na saka unhe.
Samaaj ka kya hai, aaj inka aur kal unka. Jisne pheka paisa, naach liye unke kehne pe.
Desh to chal he raha hai, julmo sitam to hamesa hue. Par iss baar apne aur apne kehne walo ne mood mood liya. Chor diya marne ko, marne diya unhe, kar diya dafan insaniyat ko.
Pata nahi kya bhagwaan bhi maaf karega unko, jinke roti aur imaan majhab pe tiki hue hai. Chala rahe hai jo dukaan raam/rahim ke duum pe.