Tanha he to hai hum, dhund rahe hai apne parchai auroo me. Diya salai, kaagaj kalam aur suee dhagee ke mafik jor rahe hai khud ko auroo se.
Kya hum ayee nahi the akele is jahan me? Kya humne aasiyaana banane ka socha nahi tha khud ke liye?
Apne aap se ji nahi sakte kya hum, kyun nikal jate hai khud ki talash me? Kya milta hai miyushee aur tiraskaar ke awala?
Tanha kaise ho sakte hai hum jab humne khud me jeena seekh liya. Yae parchaii hamare he to hai, kyun jana hame auroo ki talaash me? Kya khud me khud ke saath nahi ji sakete hai? Apne akelepaan ko apne manmarzi ka zariya kyun nahi bana lete hai hum?
Manish came up with updated version with more rhyme in it.
Tanha hee to hum sab Dhoondh rahein hain apne ko, auron main Kisi dhaage say jodne ki koshish kar rahe hain.
Kya hum akele na aaye thhe jahan mein Kyun aashiyana banane lage jahan mein Kyun na jee sakte hum akele, tanha Kyun nikal jaate hain kisi ki talaash mein.
Wohee mayusi aur tiraskar ki talaash mein Kyun na jee sakte hum akele Apni parchai kay saath Kyun dhoondhein kisi aur ko Jab hum jee sakte hain akele – tanha