Liya apne zindgi ko, kar diya unke hawale. Ban gaye sagird unke, ho liye unme magan, hue masroof aise ki duniya unme he bana li.
Phir ho liye ru-baru khud se, sachai se, apne naadani se. The kya hum, kya ho gaye. Aisa kya kiya, aise kyun hue hum unpe kayal.
Khudgarz hua karte the hum kisi jamane me. Khud me khoye rehte the hum un dino. Hua kya hame, kaise ho gaye hum unke mohtaaz.
Aise kaise duniya bana li humne, aise kaise zindgi ko jine lage hum.
Kya ye gulami se kam hai, kyun ye nahi jumlo sitam hai? Apne aabru se baeaabruu ho liye hum aur diya hame kayal diwana diwana pukarne lagi.
Kya zindgi hai, kya zillat hai, harfan maula hua karte the kabhi ab pagal se bane bhatakte hai unki galiyo me, unke didar ke liye.
Kyun khuda nahi pakda hame, gaya kyun chir kar wo, hum dub chuke hai aur kahi sahil dur dur tak nahi dikh padta. Kya kinara hai kahi, kya dubne he hoga hame is ishq ke samandar me.