Dil

Dil lagane me aise masgool ho gaye ke zindgi jine se mehroof reh gaye. Jina tha zindgi sadgi se, jina tha zindgi apne khudi se. Par kambakhat Ishq ki bemaari mae aise phase ke koi mauka na mila zindgi ko jine ka dilaggi ke alawa.

Tukde tukde me baante gaye dil ko khairaat samajh ke, phir bhi na mile dil ko jo talaash thi. Beeparwaah khud the, gair nahi, chahaat khud ke liye thi.

Dil khol diya apna bina kuch mange gairo se, dar-b-dar dil ko liye bhatakte rahe umneed me ki sayad kahi, kabhi manzil mil zaye.

Dafan hai wo aaz apne dil ko liye, peekdaan baan padi hai mazzar unki. Kabhi kisi mushairee mae jikr ho zata hai unka, dilageee ke liye nahi lekin dilpheek, dilzale aashique hone ke liye.