Ja raha hun tere saher se kuch yadoo ko liye. Simate apne dil ke sandook me.
Ye saher itna madmast kyun hai, yahan ke log itne mast kyun hai. Sabke sab thame se jaan padte hai. Koi bhaag dauur sa nai hai, sab apne man ke malik se hain.
Aisa lagta hai ke aa gaya hun mae sapno ke duniya me jahan sabkuch acha sa he hai.
Kya ye saher sach me aisa hai? Kya iss saher ke log sach me itne ache hai? Ya ye mere mann ki karistaani hai jo bas aankho ke samne achee cheezo ko he dekhte zaan padta hai?
Tumse mila, aur kitne dosto se mila, sab insaan se he jaan padte hai. Koi kuch dikhawa nai kar raha, sab apne Zindgi ko bass jite hue se jaan padte hai.
Ache see he hai zindgi aisa lagta hai mujhe, kya lagta hai tumhe? Kya mae sapno ke duniya me hun?