Akelapan

Akelapan hai khud mae majboori sae zine ko, yae ek bimari he to hai. Sabkuch hote hue bhi koi nai apna, sabkuch khokhalapan sa jaan padta hai.

Hum paraye me apne ko dhundte hai, apno me kuch bacha he nai hai ab baat karne ko.

Ek nai aneek cheezo mae kho zate hai apne akelepan ko mitane kae liye. Kuch kutte, billi ke sagird bann zate hai aur kuch dhongi baba ke.

Baaki jo kuch bache wo masgool ho zate hai kaum, mulk ke ladai mae aznabiyoo ke sang mobile phone pe. Kuch Internet ke gumnaab awaaz bann ke reh zate hai.

Waqt ke saath saath apno ki kami hone lagti hai zindgi se. Kuch rooth kar chor zate hai, kuch ho zate hai kabr ke ho ke.

Apne akelepan mae zina suru kar diziye, zindgi mae kuch kami mehsoon nai hoge apko. Itna kuch to hai khud me kho zane ko. mazboori nai mauka samajhiye akelepan ko.