manzil

Har ek rasta mazil ko nai zata, har ek log apki zindagi bhar ke saathi nai rehte. Hum kyun umeed karte hai zindagi se, hum kyun zite hai zindgi ko kisi aur ke asree me.

Apni zindagi ke hai hum rakhwale phir bhi bhatak zate hai hum bar bar aur dil ke ek kinare me Naya zakahm de zate hai. Phir hum badkismati aur khuda par ilzaam lagate phirte hai. Zab aur koi marham kaam nai karta hum saaki ke sahare uske bann ke usme simat zate hai.

Kya isi ke liye khuda na bheja hai hame is kayanaat me ki aap dusre ki yaad me khud ko bhul zaye. Aap insaan hai itna kuch kar sakte hai aap. Apki manzil apke hatho me hai naa ki kisi aur aznabee ke, ya apke haath ke lakaair me.