zindgi

ek mukaam pe log mil zate hai, zindgiyaan mil zati hai, mil zata hai jine ka asra aur ho zate hai zindgi ko jine ke liye agrsar.

kitne duvidha se likhe hai zindgi hamare, kuch pal kuch humsafar mil zate hai zindgi mae, dae zate hai sahara aur kuch khusi. Zindgi waise bi to chand pal ki mehmaan he hai. Hum hai kaun?

Ek musafir he to hai. Ziye za rahe hai ek masaal liye zindgi ka. Ek aadat se ho rakhi thi bhoot me simat zane ke, vartmaan aur bhavisya ka socha he na tha.

Hum chalte chalte ek waqt tham zate hai, phir kabr me simat zate hai. Hame waqt he nahi milta khud se ru-baru hone ka. Kuch chand musafir aur unke kadmo se mile kadmo me he to hum zi zate hai zindgi ko.