kathputliyaan

Har waqt ziye ja rahe hai unke rahmo karam par, har waqt mohtaaz hai unke rehmat ke liye. Sabkuch unhone he to diya hai hame is zindgi mae, hai kya apna is zahan mae is mitti ke bani khud ki kathputliyoo ke alawa.

Hume unhone banaya aur khud ki massiha hamne bana liya, bhul gaye ke kide makodo se kam nai hai hum. Bas uske rehmat se akal aur sakal mili hai, phir bhi pata nai kis uchaaiyoo ko chone ke baat karte hai, kis baat ka ghamand karte hai hum. Hai kya he hum us surya kiran ke age, hai kya hum us samandar ke samne.

Kya ho gaya hai hame, kaise ban gaye hum phir se janwar, kaise kho diya apne mastishk ko. Hum ibadat kiya karte the khuda ko kabhi, aaz khud he khuda bann baithe hai, umeed karte hai auroo ka ki koi hamare ibadaat kare.

Apki jihazuri apke kurshi aur paise ke wazeh se ke za rahe hai, na ki apke karam ya zubaan ke wazeh se. Aap aaz hai, kal nahi rahenge, log bhul zainge apko.

Kitne fakir hue, sant aye bas jubaan ne unko zindgi bhar ke liye zanam zanmantar tak apna bana liya. Aaz bhi unki kavitayee sunte hai hum, unke fakiriyat ko yaad karte hai.

Hum hai he kya, mitti ke kathputliyaan. Aaz hai kal mitti mae mil zainge.