Apni zindgi ko kyun hum kar dete hai kisi aur ke hawale. Kyun hum ho zate hai mohtaaz bhale kisi aur ke.
Zindgi hai kuch lamho ki, khel khel me zate hai ye nikal. Is chote se zindgi ko kya humne dekha nahi gahryee se. ye bechaini, ghutan aur ruswaye, kyun rakhte hai itne naa-umeedee?
Jab ye zindgi hai apne phir kyun hote hai hum asre pe gairo ke? Kya diya hai gairoo ne jillat, gamo ke alwawa. Aise bhi kya hai ye insaniyat.
Hum je lenge apne zindgi apne me simat ke. Nahi chaiye gairo ka asra, pal bhar ka sahara aur ruswayee zindgi bhar ke.