Darr darr ke ze liya aye zindgi humne tumhe. Har Waqt ziye darr ki parchai mae. Aisa kya hua hame zo zindgi parchai se bann gaye dar ke kale kambal odhe.
Hum khud ke hua karte the kabhi, mast the, madmast the apni chaal aur dhun mae.
Kya hua zindgi ko hamare, kaise laga ye grahan jo hamne darr darr ke zina suru kar diya?
Ek he to Zindgi hai, darree bhala hum kyun kisi se? Ye darr darr ke bhi kya zina hua bhala? Hum insaan hai ji, bakreed ki qurabani wale bher thore he?
Apni Zindgi ko ko zisne jina suru kar diya, samjho darr se duuur ho gaya wo.
Kaise Zina hai tumhe ye Zindgi? Darr darr ke, ya bekhauu: mann bana lo, aur zindgi ko zina suru karo.
Aakhir kuch waqt ki he to hai ye zindgi, darr darr ke bhi kya zina bhala?