Ji lo kuch pal he sai, khud ki marzi se, aazaad, beparwaah. Itna kuch karna baaki hai abhi, itne bhi kya zindgi bachi hai abhi? Kal ke liye khud me kitna aaz? Kal ko kisi ne dekha hai kya bhala?
Kal ke liye hum aise armaan saza lete hai, ki aaz me jina he bhool zate hai. Kyun nahi je sakte hum apni zindgi ko aaz mae, abhi ke liye? Aisa bhi kya hone wala hai kal?
Kitne aaye, kitne mil gaye mitti me, kuch ne jiya zindgi ko zindadili se, aaz me. Kitno ne ache kal ke moh me aaz ji li bebasi, mayusi aur dard me.
Zindgi hai tumhari, sochna hai tumhe, zina aaz abhi ke liye hai ya mar zana hai kabhi na aane wale kal ke liye.