Tanhai

Apni tanhai liye bhatak rahe hai hum. Apni zindgi ki kahane kise sunaye hum. Is chakachaud mae sab gum hai, is bhagdaur me sab bhatak gaye hai. Hai kya kisi kae paas hamare kahane sunne ka waqt, hai kya kisi ke paas zindgi jine ka maksad. Sab bhag rahe hai, pata nahi kiske talaash mae.

Kya he kar lenge daulat aur sohrat ke saath jab us upaarjan ka bhog he na kar paye. Bhag bhag ke bimar ho rahi hai duniya sare. Is awaal hone ke daud me sabne khud ko kho diya hai. Ek bhed chaal hai, sab ek zaise he namunee dikhte hai.

Kya banaya tha khuda nae, kya umeede the insaniyaat ki. Ab to jahanuum aur is zindgi ka saath ek zaisa he lagta hai.